Cherreads

Chapter 4 - Part -3 The glorious personality of Swami Vivekanand ji

Swami Vivekananda ji ne B.A. ki Pariksha pass karke B.L. mein Pravesh le liya tha. February 1884 mein Narendra ek din Apne ek Mitra ke ghar gaye hue the unki Mitra mandali bhi vahan maujud thi. Unke bich prayaahShiksha , Dharm ,rajniti aur Geet - Sangeet per vyapak charcha hoti rahti Thi. Use din bhi yah sabhi karya hue aur geet - Sangeet ka antim Daur chal raha tha . Narendra Apne Madhur Kantha se ek bhajan Suna rahe the ki Narendra ke Ghar Se ek vyakti Ne Aakar dukh bhara samachar Diya ki unke pita Vishwanath Datt ji ki surprising death ho gai hai . Narendra ke liye yah samachar vajra ke Saman tha.

Swami Vivekanand ji daude - daude Ghar pahunche to vahan sare log ro rahe the unki Mata ,Bhai , bahan aur Anya parijan pita ke Parthiv sharir Se lipat Kar ro rahi thi . Narendra vaise to bahut dharyvaan the lekin pita ka Parthiv sharir dekhkar unki Aankhen jhalak uthi iske bad unhone swayam ko sambhala aur pita ka vidhi Vidhan se antim sanskar Kiya.

Ghar mein bada hone ke Karan sari jimmedaariyan ab Narendra nath ke kandhon per tha . Pahle pita ke samay kitni nishchintya aur azadi Thi ,per ab parivarik dayitv uthane ka samay a gaya tha .Yadhyapi kuchh Mitra arthik Sahyog karne ko bhi taiyar the, lekin Narendra ka Swabhiman samne a Gaya. Ghar mein phake ho rahe the . Chhote Bhai - bahan jab bhukh Se tadapte to Narendra ka kaleja kaap uthata. Unhone naukari ki talaash ki,per kahi naukari bhi nahin Mil Pa rahi thi. Hatash niraash Narendra ko ab ek Hi aasra tha- Apne satguru ka . Vipatti mein Guru hi margdarshan karte hain, yah sochkar Narendra Ne nirnay liya ki ab samay nikalkar dakshineshwar Jana hi hoga.

Swami Vivekananda ji samay nikalkar vishweshwar pahunch gaye. Vahan Ekant mein Guru Ne shishya ki dard bhari vetha suni to Jana ki parivarik samasyaon ne ek vishuddh sadhak ko dig- bhramit kar diya hai . Ramkrishna ne unhen bade Prem se samjhaya use Raat Narendra ko pichhle Dinon ki tulna mein adhik Shanti ka Anubhav hua vah ek Nai urja ke sath Apne Ghar laute.

Guru ke Aashirwad aur apne prayason se unhone samasyaon ko adhik mahatva na dekar unke hal khojne ka prarambh Kar Diya . Shighra hi parinaam bhi acche aane lage. Unke Ghar ke swamitva ka jo mukadma chal raha tha uski pervi bhi unhone swayam ki aur tarko tatha sachyon ke Aadhar per Vipasha ke vakil ki dalilon ki dhajjiyan Uda Di . Nyayadhish Ne nirnay Narendra ke paksh mein sunaya. Yah Narendra ko Satya ki jeet ka Pratham vyavharik aur vyaktigat Anubhav hua.

Makan ki samasya samapt ho gai lekin bhojan ki samasya yathavat Bani hui thi , punaah Gurudev ka smaran Ho aaya . Asha Badhi ki Guru ki kripa Se is Disha mein bhi avashya Koi upay nikalega . Narendra nath dakshineshwar pahunche aur Guru - charanon me sir jhuka Kar Aashirwad prapt Kiya, FIR baten hone lagi to Narendra ke Parivar ki arthik samasya ki baat aai . Narendra dukhi swar me bole - "apni baat ho to dekha bhi jaaye . Parivar Ko bhukhe dekhkar swayam per sharm aati Hai ki Main bada hokar bhi Parivar ka Bhar nahin utha Pa raha hun . " Is per Gurudev ne kaha ki Jaisi maa ki ichcha ! tab Narendra Ne asha Se bhare swar mein kaha-" Meri Parivar ko to do waqt ki roti chain se mil jaaye, iski Koi vyavastha Ho jaaye to Man Ko Shanti mile . Aap apni Maa Se Hi is vishay mein kuchh anurodh kijiye na. "

Ramkrishna ashcharya se Narendra ki or dekha aur FIR Gambhir hokar kaha -"Maine Maa Se kabhi kuchh nahin Manga . Mai Tere liye anurodh karun bhi to kaise, tu to Mata ko manta bhi nahin? Ek avishvasi ke liye ve anurodh swikar kyon karne lagi? " Narendra nath Maan Rahe kyunki vah niraakaar ka hi samarthan karte The . Sakar me unka Vishwas nahin tha . Guru bhi duvidha mein the kyunki shish Ne pahli bar kuchh Manga tha, vah bhi apne liye nahin, balki Parivar ke liye. Sahayata to karni hi chahie.

Antatah Ram krishna paramhans Ji Ne ek Marg Khoj nikala aur kaha -" Narendra ! ek kam kar ! Aaj mangalwar hai. Aaj tu maa Kali ki Sharan me ja aur vinay -purvak jo chahe mang Li. Mera Vishwas hai ki aaj Mata Teri har ichcha Puri karengi ." Narendra Ko santushti nahin Mili kyunki prastar - Pratima me unka Vishwas nahin tha kintu Aaj Guru ki Pariksha ka Aisa avsar mila tha ,ki bhavishya me Guru ke dwara 'Mata Mata 'ka pralap to sunane Ko nahin milega. kuchh soch kar use ratri ke dusre prahar mein Narendra Kali Mata ke mandir ki aur badh gai . Mandir ke andar jakar unhone Murti ki or dekha to unki aankhon Se alokik rashmiyan Si nikal kar unke netron se takraai . Ve bhul Gai ki Guru Shri Ramkrishna paramhans ki aagrah per ve vahan Parivar ke liye dhan sampda mangne Aaye Hain .

Ek ek Narendra ke mukh Se kuchh aur hi nikala "he Maa! mujhe Shakti do! Gyan do! vairagya do! Vivek do!" Mata se Ardas lagane ke bad Gurudev ke pass Aaye.

Paramhans ne muskurakar poochha ki kya Manga to Swami vivekanand Ji Ne sab Sach Bata Diya paramhans Ne Mathe per hath maar Kar kaha -Are ! In chijon ko Parivar khaega kya ?dravya maag,Sona, Chandi ,hire ,Java Raat mang. PhirJa galti sudhar." Swami Vivekanand ji teen bar Gaye lekin ek bar bhi unke munh se dhan sambandhi mang nahin nikali. Har bar Vivek , vairagya, Gyan aur bhaktiki hi mang ki . Narendra swayam chakit the ki Maa ke samne unhen kya ho jata hai. Tab Ramkrishna Gambhir bhav Se bole -"Tere Bhagya me sansarik Sukh hi nahin Hai Narendra !Tere hriday me unke liye sthan nahin Hai. Ja maa ki kripa Se Tere Parivar ko bhojan aur vastra ki Kami nahin hogi.

Man Kali ki Aseem kripa aur Gurudev ki Aashirwad se Swami Vivekanand ko attorni office mein naukari Mil Gai iske sath hi kuchh pustakon ka anuvad karya bhi unhen mil gaya . Isase bhukh samasya ka kafi had Tak Samadhan Ho Gaya . Ab maa Kali ke prati Narendra ki shradha bhi badh gai.

May 1884 me Narendra ko Ishwar Chandra Vidyasagar ke metropolitan school mein pradhanadhyapak ke pad per niyukt Kiya gaya . Ab Narendra naukari karte aur betan ghar pahuncha kar dakshineshwar aashram mein Hi rahte . Jarurat padane per ve garh a jaate the .Aashram me Gurudev unhen Gyan- vigyan ke vividh rahasyon se parichit Karate the.

More Chapters