Cherreads

horror _story in hindi

JaskaranSingh
7
chs / week
The average realized release rate over the past 30 days is 7 chs / week.
--
NOT RATINGS
151
Views
VIEW MORE

Chapter 1 - Andheri Haveli Raaz

Raat ka time tha , hawa tez chal rahi thi aur aasman me bijli chamak rahi thi raj apni bike se ek sunsaan raste par ja reha tha. Usse apne dost aman ke gaon pahunchna tha , lekin raste me uski bike achanak kharab ho gayi chaaro taraf andhera hi andhera tha. Na koi aadmi na koi awaaz.

Raj ne apni pocket se phone nikala, lekin signal nhi tha. Thori door use ek purani haveli dikhati di. Haveli bahut hi purani aur darawni lag rahi thi, jaise kai saalon se wahan koi nhi gaya ho.

Raj ne socha shayad yahan kisi se madad mil jaye.

Jaise hi wo haveli ke pass gaya darwaza apne aap creeek ki awaaz ke saath khul gaya. Raj thora dar gaya lekin phir bhi andar chala gaya.

Andar sab kuch dhool se bhara hua tha. Diwaron par purani tasveerein Raj ko dekh rahi ho.

Achanak ek thandi hawa ka jhonka aaya aur peecha ka darwaza zor se band

ho gaya .

Kaun hai wahana? Raj ne daar ke saath pooocha.

Koi jawab nhi aaya.

Raj dheere -dheere aage badhe laga. Haceli ke andar ek lambi seedhi upar ke taraf ja rahi thi. Usne torch on ke aur seedhiyon par chadhne laga. Har kadam par thak.. Thak.. Ki awaaz goonj rahi thi.

Raj ne darwaza dhakka diya aur andar gaya.

Kamre ke beech me ek purana aaina rakha tha. Aaine par mitti jami hui thi. Raj ne haath se mitti saaf ke aur apna chehra dheka...

Lekin ek pal ke liye uska khoon jam gaya.

Aaine me uska chera nhi, balki ek aurat ka chehra dikh raha tha. Uski aankhen bilkul safed thi aur uske baal khule hue the.

Raj jhatke se peeche hata

Yea... Yea kya tha? . Usne kuda se khha.

Achanak peecho se ek halki si hansi ki awaaz aayi.. Hehehe...,,

Raj ne dheere se mud kar dekha...

Wahan koi nhi tha.

Phir se hasi ki awaaz aayi, is baar aur kareeb se.

Raj ka dil zor-zor se dhadkne laga. Usne turant kamre se bahar nikalne ki koshish ki, lenkin darwaza band ho chuka tha.

Darwaza kholo Raj cheeka.

Tabhi aaine ke andar se wahi aurat dheere -dheere bhar aane lagi. Jaise wo kisi pa i se nikal rahi ho. Uska chehara dheere dheere saaf dikne laga. Uski aanken Raj par tiki hui thi.

Aakhir tum aa hi gaya.. Us aurat ne dheemi aur bhayankar awaaz me kha.

Raj ka sharir kaapna raha tha. Tum tum kaun ho.

Aur tum... Yahan se zinda nhi ja sakta.. Usne muskurate hue kaha.

Raj ne aankhen band ki aur zor se darwaza dhakka diya..

Aur achanak darwaza khul gaya.

Raj bina peeche dekhe seedhiyon se neeche bhaaga. Uske pair phisal raha the, lekin wo ruka nhi.

Jaise hi wo bhar nikal, usne peeche mud kar dekha..

Haveli bikul shant thi. Jaise kuch hua hi nhi ho.

Raj ne jaldi se apni bike uthai aur gaon ki taraf bhaag gaya.

Subha jab wo aman ke bahar pagucha to usne puri raat ke kahani sunayi.

Aman ka chehra safed pad gaya.

Raj.. Tum jis haveli me gaya the.. Wahan 20 saal pehle ek aurat ke maut ho gayi thi, aman ne kaha

Kehte hain wo apne pati ka intezar karte karte pagal ho gayi thi.. Aur ek din usne aaine ke saame apni jaan de di.

Raj ke haath kaanpne lage.

Tab se.. Jo bhi waha jaata hai... Wo wapas nhi aata.

Raj shock me tha. Lakin main to wapas aa gaya

Aman ne dheere se Raj ki taraf dekha

Sach me?

Raj ne hairani se poocha kya matlab?

Aman ne Raj ko ek aaina dikhaya.

Raj ne aaaine me dekha..

Aur uski cheekh nikal gayi.

Aaine ma Raj ka chehra nhi tha..

Balki wahi aurat khadi thi.. Muskurate hue.

Aur uski awaaz Raj ke kaano me goonj uthi

Ab tum kabhi ya ahan se nhi ja sakte..

Us din ke baad Raj kabhi kisi ka nazar nhi aaya

Thanks for reading story thank you so much❤❤