Cherreads

Chapter 23 - ek raaz

Agle hi din papa puri samagri le aaye.

Bas sadhwi ji ka intzaar tha .

Samay hote hi shadwi ji bhi aa gyi.

Papa ne maa se mujhe aur bhai ko andar le jane ke liye kha ,taki hm dono ye sab cheeze dekhkr dar nhi jaaye.

Pr shadwi ji ne kha ki baccho ko andar akele mat chodo .

Kuch bhi bura ho sakta hai.

Shadhwi ji ne hm sabhi ko ek raksha sutra diya.

Aur kha ki pura parivaar is raksha sutra ko bandh le .

Unhone papa ke saath kaam krne wale un uncle ko bhi raksha sutra diya.

Papa ne hme unke saath kaam krne wale uncle ke yhaa bhijwa diya.

Ab shadwi ji ne apni prakriya shuru ki.

Wo mantro ka jaap krne lagi.

Thodi der baad unhone apni aankhe kholi.

Unhone papa se pucha ki yhaa kya koe aur bhi rehta hai kya?

Papa ne kha haa yhaa is banglo ke malik bhi rehte hai jo buzurg hai.

More Chapters