Cherreads

My First Medal

Ramdas_Tripathi
7
chs / week
The average realized release rate over the past 30 days is 7 chs / week.
--
NOT RATINGS
108
Views
VIEW MORE

Chapter 1 - My First Medal

Mein jivan mein pehle baar class 9th mein medal payi. Mein bhut khush thi. Amar ujala ki taraf se ek pratiyogita ki gai thi usmein essay likhna tha. Bahut sare school ke bacchon ne likha tha . Har school mein se panch bacchon ko select Kiya jata tha jiska eassy bhut deeply likha tha. Har school se 5 bacchon ko select Kiya jata tha mere school ke bacchon mein 5 bacchon mein ek main bhi thi. Mujhe apni aankhon per Vishwas nahin ho raha tha ki ek backbenchers bhi itna achcha likh sakta hai. Jab main vahan gai Jahan medal Se sammanit Kiya ja raha tha. Tab Mera hath pair sab kap raha tha. Jab main medal Lene gai tab Mera sharir ka posture nahin ban raha tha mera gardan baar baar jhuk ja raha tha . Jo mujhe medal pahna raha tha vah bhi mujhe samjha raha tha ki apni sharir ka poster Sahi karun fir bhi main apni sharir ka poster Sahi nahin kar pa rahi thi. Aisa lag raha tha ki Jaise Mano mera dimag ko koi hang kar liya hai jis prakar ek phone ko hack Kiya jata Hai usi prakar mere dimag ko hang kar liya Gaya . Mujhe medal prapt hua. Main Ghar per aayi jab maine phone Se apna photo pura dekha tab Maine apna poster dekhkar bahut dukh prakat Kiya ki mera ek bhi photo achcha nahin aaya Mera body ka pura poster jhuka hua tha. Gardan itna jhuk Gaya tha ki Mano giraffe gardhan jhuka raha hun ab pachtane se kuchh nahin ho sakta . Maine kabhi bhi jivan mein medal nahin Paya aur itna bada samman nahin prapti Kiya. Mujhe bahut hi jyada Khushi Hui jab Maine medal Paya Ghar per Aakar sabko dikhaya ki maine medal Paya