Cherreads

unknown with you

Ritu_Rawat_4161
7
chs / week
The average realized release rate over the past 30 days is 7 chs / week.
--
NOT RATINGS
155
Views
Table of contents
VIEW MORE

Chapter 1 - Unnamed 0

Kabhi kuch waqt apne liye bhi nikaal lena is busy life me . Jab peeche mud ke dekho to achi yaadein bhi ho tumhare pass bas isliye.

Kabhi khaali bhi chord Dena apne liye kuch panne jindagi ke , bharne ka ahsaas bhi ho tumhe isliye.

Mere khne se jara khud ko bhi dhundhna is duniya me . Ya na pahchaan pao kabhi apne aap ko to bas muskurate rhna . Koi badi baat nahi . Zindagi hai dukh khatam ho jayenge chinta nahi hai . Khushiya fir aayengi chinta nhi hai . Par tum utho to sahi . Shuruaat karo intezar karte karte to samay nikal jayga . Nayi ummeed jagaani baaki hai . Har kahaani ka end hamesha acha nahi hota ye to tum jaante hi ho na .

To kya ab bhi tum is zaalima duniya me ek perfect end ki kalpana kar paa rahe ho ? Agar ha to tum me ab bhi shaayad ummeed bachi hai jise samajhna jaruri hai . Or agar tumhara jawaab na ho to lagta hai tumne chalna chord dya hai . Tum khud ko samajhna nahi chahte .

Sab kismat par chord dene ka Mann hai par kismat hamara sath tabhi deti hai jab ham kismat ko ek tarf rakh kar khud ka sath chinte hai agar sach me is duniya me koi ishwar hai to wo tumhe tabhi dekhenge jab tum sabse uppar uthkar aasman me ek taare ki tarah chamakne ki himmat kar paoge . Safalta mile ya na mile kise parwaah hai par kya kaafi nahi hoga apni khushi ke liye koshish karna , jyada nahi to kam se kam tab tak jab tak tum me koshish karne ko aas to ho . Nirasha har kisi ko hoti hai . Or dukh bhi to nirasha ka hi ek roop hai to nirasha ko dur karne ki koshish to kar hi leni chahiye.

Tum ye sab baatein sun rahe ho ek haare hue insaan se jisne khud bhi koshish karna band kar dya hai . Lekin agar tum aage badhna chaho to sath milkar aage badhte hai . Ek himmat banega to dusre ko sahaara maan lete hai .

Itna hona agar kaafi nahi hai to iska bhi ek raasta nikaal hi lenge jab tak haar maanne ka man na kare tab tak sath chalenge . Kitaab or kalam ka kissa beshak purana ho par heer ranjha , lail majnu , ki kahaani bhi inhi ne likhi hogi . Wo to yaad rh gye par kitab or kalam ki kurbaani log bhul gaye . Waqt badla jagah badli , soch or aadatein bhi badli, jaam badle ,anjaam badle , par nahi badli to wo hai insaani fitrat , tab bhi ek hero or ek villen tha or ab bhi hai or shaayad duniya ke khatam hone tak rahega . Insaan khud ko hamesha uppar samajhta aaya hai or dusro ko kuch smjh paane ki usme kabiliyat nhi hai or yahi sab hota rahega aage bhi .

Kya kisi tarah ke badlaaw ki ummeed hai ? Jaha tak mujhe lagta hai jawaab na hi hoga .

Asaan hota kisi ko saamne se puchna ki uske man me hamare liye kya hai lekin jab uska jawaab aata hai to ham uspar bhi bharosa karne se pahle sochte jarur hai .