Cherreads

Meri Jeevan Ki Musibaten

Anurag_Shukla_3163
7
chs / week
The average realized release rate over the past 30 days is 7 chs / week.
--
NOT RATINGS
167
Views
VIEW MORE

Chapter 1 - Meri Jeevan Ki Musibaten

Jab mai chota tha tab mujhse ek galti ho gayi thi tabse aa tak mujhe us galti ke liye regret hota hai aur mai sochta hoon ki Maine bachpan mein wo galti kyu ki agar Aaj maine wo galti na ki hoti toh shayad aaj jo Musibaten mujhe jhelni pad rahi hai wo shayad kabhi bhi nahi jhelni padti jab mai chota tha tab maine galti kya ki thi wo aap sabko mai aage bataunga lekin us galti ki wajah se mujhe aaj bahut dukh aur bahut regret hai us galti ki wajah se ham sab log bahut dukhi hai aur Mera pura pariwar bhi bahut dukhi hai aur mai chahta hoon ki koi bhi wo galti apne bachpan me na kare jo maine ki hai nahi toh sabko meri tarah baad me bahut regret karna padega meri galti ki wajah se Mera Ghar tak bikne ko aagya tha phir bhi nai nhi sudhra aur wo galti mujhse aaj bhi kabhi kabhi ho jati hai Maine apni maa ko bahut dukh Diya hai Maine unke paise bhi churaye hai bahut sare aur unke bahut sare gahne bhi churaye hai isliye mujhe soch ke hi dukh hota hai ki Mai aisa kaise kar sakta hoon lekin usme meri bhi koi galti nhi thi mai bhi majboor tha kyuki mai apne aap ko chahe jitna control karna chahu nhi control kar pata tha lekin ab mai apne apko kafi haad Tak control kar chuka hoon ek baar mai apni galti sudhar loon uske baad mi sab kuch sahi kar doonga jo bhi jitne bhi dukh maine sab ko diye hai mai wo sabkuch sahi karne ki poori koshish karunga aur Puri mehnat se kaam karunga lekin meri us galti ki wajah se mujhe sab kuch sahi karne me bahut jyada samy lag skata hai isliye mai bhi koshish karunga ki jitna jaldi mai sab kuch sahi kar saku utna jaldi mai sab kuch sahi karu meri ek galti ho ki Maine bachpan me jab mai 10 saal ka tha tab ki thi lekin uska dukh mujhe puri jindagi jhelna padega lekin meri mummy ne mujhe kaha tha ki tum kabhi haar mat maanna aur mere papa mujhse bahut naraz the lekin mujhe pata tha jab mai sab kuch sahi kar loonga toh unko jarur mana loonga isliye mujhe bas ab mehnat karni thi aur sab kuch sahi karna tha toh mai lag gya tha mehnat karne me aur ab mujhe pata chal raha tha ki insaan ki ek galti bhi use barbaad kar sakti hai jaise mujhe meri ek galti ne barbaad kiya tha lekin haa ab mai bada ho chuka tha aur sab kuch samajhne lag gya tha isliye mujhe ab pata tha ki mujhe apne past ke baare me bhi mujhe apne future ke baare me sochna chahiye Aur use sudharne ki koshish karni chahiye isliye ab mai sab kuch bhool ke aage badh raha tha aur ab mai kaam dhoondhne ki talash me tha ki mujhe koi accha sa kaam mil jaye toh mai kaam kar saku aur apni condition ko sahi kar saku aur maa ko unke gahne bhi doobara laake wapas kar saku toh phir pahle toh mujhe kahi kaam nhi mil rha tha kyuki mai jyada padha nhi tha toh mujhe samajh aa gya tha ki mujhe koi kaam nhi dega isliye mai majduri ka kaam dhoondhne laga aur mujhe mil bhi gya lekin mai ek acche Ghar se tha aur .ai majduri ka kaam nhi karna chahta tha lekin meri galti hi kuch aisi thi ki mujhe na chahte hue bhi wo kaam karna pada ar mujhe bahut sarmindgi mahsus hoti thi majduri ka kaam karte hue lekin ab mai kya hi kar sakta tha isliye maine faisla kiya ki majjduri ka kaam karne jaunga aur mai agle hi din nikal gya subah kaam pe aur maine pahli baar Aisa kuch mehnat wala kaam kiya tha toh meri tabiyat bhi kharab ho gyi aur .ai agle din kaam pe jane ke mood me nhi tha lekin maine dawa Li aur mai kaam pe nikal gya kyuki mujhe apni galti ki saja mil rahi thi aur mujhe apne aap pe gussa aa raha tha ki Maine apni aur apne family ki jindagi apne haath hi barbaar ki aur wo bhi ek choti si galti ho ki Maine bachpan me jab mai 10 saal ka tha tab ki thi lekin maine galti bhi bahut badi ki thi aur maine shuru me apni galti sudhari nhi nhi na hi kabhi socha sudharne ke liye lekin mujhe realise hua ki maine galti ki hai toh mujhe Saha toh milegi toh thik hi hai mai agle din doobara kaam par gaya aur wahi par behos ho gya mujhe samajh aa gya tha ki mai ye majduri ka kaam nhi kar sakta ye sab mere bad ki baat nhi hai kyuki Maine kabhi itni jyada mehnat wala kaam kiya hi nahi tha isliye mai ye kaam nhi kar paunga toh phir jab mai waha pe behos hua tha toh sabne mujhe jagaya aur mai waha se kdi tarah apne ghar aaya aur Ghar aate hi mai so gya meri tabiyat aur jyada kharab ho rhi thi mere papa ne doctor ko bulaya aur meri dawa bhi Hui lekin meri bachpan ki galti ki wajah se meri body ko bhi bahut nuksan hua tha isliye doctor ne kaha ki tum rest Karo aur tum ye mehnat wala kaam na karo kyuki tumhari tabiyat bahut kharab hai Maine agle din uth ke kaam par jaane ki bahut koshis ki lekin mai nhi uth paya aur fir gaya mere papa ne mujhe data mere papa mujhse jyada baat nhi karte the wo mujhse bahut hi jyada naraz the lekin unka naraz hona bhi Banta hai kyuki meri galti hi aisi thi ki koi bhi mujhse naraz ho jaye phir mai kisi tarah utha aur let gya aur mai sochne laga ki agar mai us din apne us khaas dost ke kahne par wo kaam na kiya hota toh shayad aaj meri ye halat na hoti mai aapko batata hoon ki usne mujhse kya karne ko kaha tha usne mujhe .....